‘What is it Like to Live in this Hashtag Ki Duniya?’ Ask a Reader

#JustSaying 
The Quint
BOL
Published:
Welcome to the world of Hashtag.
|
(Photo: Arnica Kala/The Quint)
Welcome to the world of Hashtag.
ADVERTISEMENT

Yeh hashtag ki duniya hai.
Kya yeh samjh payegi mol,
Parivar se bichad jane ka aur,
Kashmir mai patthar khane ka.
Anaj ke aakhiri daane ka aur,
Sisakte hue bhukhe so jane ka.
Din mai pasino se khet jotkar,
Rat ko aansuon aur karz mai doob jaane ka.

ADVERTISEMENT
ADVERTISEMENT

Yeh hashtag ki duniya hai,
Kya ye dekh paayegi khauf.
Us do mahine ki anbhigya maasumiyat ka,
Kisi barbar shikari ki khaavishon tale kuchal jaane ka.
Sari main lipti gumsum aurat ka,
Darindo se na bach paane ka.
Chupti chupati bharat maa ka,
Apni asmat apni aazadi na bacha pane ka.

Yeh hashtag ki duniya hai,
Kya ye pehchaan paayegi keemat.
Bharat mata ko sone ki chidiya banane wale,
Apne ek bahumulya vote ka.
Kurbaaniyon ki tirangi chaadar mai lipti aazadi ka,
Aur bahe lahu ke sacche mol ka.
Is badalti duniya ko samajhte hashtag ka,
Aur usko jaga dene ki shakti wale apne har ‘Bol’ ka!

Twinkle Sugandha Varshney’s ‘Bol’

(At The Quint, we are answerable only to our audience. Play an active role in shaping our journalism by becoming a member. Because the truth is worth it.)

Published: undefined

ADVERTISEMENT
SCROLL FOR NEXT