Some of the elements in this story are not compatible with AMP. To view the complete story, please click here

Urdu Rap: Bol, Kyunki Azaadi Hai Jayaz!

Aawaz utha! This Independence Day, khul ke Bol.
The Quint
BOL
Updated:
It’s time to listen to this uber cool Urdu rap!
|
(Photo: Saumya Pankaj/The Quint)
It’s time to listen to this uber cool Urdu rap!
ADVERTISEMENT
Mudassir Ahmed, the rapper!

The 28-year-old Mo Boucher (the moniker he’s chosen in his musical career) aka Mudassir Ahmed is from Hyderabad, but currently works in the UAE. What’s amazing is that he’s been writing songs and making music since he was 14-years-old.

So what’s the reason behind his rebellious lyrics?

“I never liked what was taught to me by the so-called scholars of my religion. My relatives hated me because I enjoyed making music. In fact, many thought I was heretic. My life revolved around music,” said Ahmed to The Quint via email.

Here are the Bol to his rap, Depression:

Zindagi sirf ek aazmaish

Chhod de mujhko wapas kyuki azadi hai jayaz

Na kar numayash mere baat ki,

Na kar tu zyadati, gawah banegi meri laash bhi

Laazmi hai ki teri baatein jhuti

Sar kalam manzur na sar jhukaunga mai yuhi,

Ye mera farz nibhaun mai baqhoobi

Sun fizool ki harkato se kho gaya mera sukun bhi

Hua shaheed watan ke waste tu zakham na gin

Hai khanjar peeth pe mere, dil mein sarzameen-e-hind

Zubaan pe kalma, jism ka zarra zarra numb

Kalam ke zor se hua khatam tera ghamand

Mera wujood abhi hai sirf uski hifazat mein

Hai khwahishen buland, rukawato ke dar se waqif main

Saabit hai uska raham, aur gulaam-e-hafiz mai

Rehnuma woh mera sunle, aur gulaam-e-khaliq mai

ADVERTISEMENT
ADVERTISEMENT

Ghut ghut ke jeena seekha mai is chaar diwari mein bandh

Gawahi mai du? Tu meri parchayi ki sun

Kiski sifarish hu mai? Kiski kahani mein gum?

Meri rawani sun zubani ab tabahi mein dum

Meri nazar na hogi bandh gira lo chahe laakho parde

Raha nahi ab dar tere sitam se

Basharte, jab tak tu kaabu paa le apne dar pe

Wo khauf jo tere dil mein hai

Jab karega paar usey, tabhi hogi fateh

Khuda ke samne sar jhukale

Maaafi mangle gidgidake, takbir ki awaaz uthale

Tu kyu hai gafil, hai kyu shamil

In gunaho se tujhe na hoga kuch bhi hasil, tu jahil

Rahega pareshaniyo mein muktela

Jab tak sahega zehmat, tab tak chalta rahega silsila

Awaaz uthale

Insaniyat ke liye misal banale

Rap written by: Mudassir Ahmed & Irshad ahmed

(This Urdu rap was sent to The Quint by Mudassir Ahmed. Would you like to contribute to our Independence Day campaign to celebrate the mother tongue? Here's your chance! This Independence Day, khul ke bol with BOL – Love your Bhasha. Sing, write, perform, spew poetry – whatever you like – in your mother tongue. Send us your BOL at bol@thequint.com or WhatsApp it to 9910181818.)

(At The Quint, we are answerable only to our audience. Play an active role in shaping our journalism by becoming a member. Because the truth is worth it.)

Published: 18 Jul 2017,07:36 PM IST

ADVERTISEMENT
SCROLL FOR NEXT